Poem: Jung Kyun Na Ho, Zaroor Honi Chahiye
by Ravi Nitesh (India)
Jung kyun na ho, Zaroor honi chahiye;
ba-sharte, jung ho behtaree ki.
Pehli jung ho tumhari khud tum se,
Jung ho tumhari ‘mai’ aur ‘hum’ se,
Tumhari jung ho tumhare har ek pal se,
aur tum jeetna chaho, har pal jeene ko, Zindgi banane ki jung.
Jung ho tumhari khud tumhare usoolon se,
aur tum banate raho bhalai aur tarakee ke usool,
Jung ho tumhari nafrat se,
Aur tum nikaal phenko saara zeher khud se.
Jung es baat ke liye ho,
ki na lag jaaye jung tumhare khud ke wajood ko.
Aur vo jung, jiski waqalat tum kiya karte ho,
kabhi majhab ke thekedaar aur kabi siyasatdaar bankar,
darasal vo nishani hai ki lag chuka hai jung tum par,
Jung kyun na ho, zaroor honi chahiye,
Jung utaarne ki jung,
behtaree aur bhalai ki jung,
khud tum se tumharee jung.
Posted on February 8, 2013, in Poems and tagged Anti-War poem, Indio-Pak poem, Indopak poem, Peace Poem, ravi nitesh. Bookmark the permalink. 1 Comment.
Pingback: Poem: Jung kyun na ho, Zaroor honi chahiye | Jai Jagat