Blog Archives
Poem: Kyun Hai Ye Anban..by Late Raj Hindustani
by Late Raj Hindustani
Bachpan se yahi sunta tha ki Pakistan hamara dushman hai,
Puchu kis se, kaun bataye dono mein kya anban hai…
Anban kya hai, jhagda kya hai puchu mein sabse jaakar,
Sab bole nadaan hai tu samjhega na tu khulkar…
Mein bolu nadaan ho tum sab kuch bhi pata na hai tumko,
Pata nahi hai kuch bhi phir kyu bhadkaaye hum sabko…
Thak haar kar ghar mein pahocha pucha Maa se jaakar,
Kyun ladte hai yeh dono tumhi batado Maa khulkar…
Maa boli kuch yu haskar ke beta tu kyu darta hai,
Dosti karne ko hum to kya, Pakistan bhi marta hai…
Rajniti ke is khel ne in dono ko hai yu toda,
Judey hue the dil hum sabke, isne hai rishto ko toda…
Kya matlab tha Maa ka main to kuch bhi samajh na paya,
Soch sochkar raat beet gayi, mein to so na paya…
Ab bada hua to sochta hu kyu na naya jahaan banaye,
Biti bisri bhulkar kyu na aman hi aman failaye…
Jo bade na kar sake kyu na hum hi woh kar jaaye,
Aage badhkar kyu na hum dosti ka haath badhaye…
Sabko bas mein yahi kahunga pyar ke diye jalao,
In diya ke sab andhiyaro ko roshan kar jao…
Likho aisa paigaam ki duniya khush ho jaye,
Pyar ki duniya mein apna naam amar ho jaye…
Jai Hind…❤
❤Jeevey Pakistan
This poem was penned down by Raj Hindustani, a 19 year old peace activist from India whom we lost on 9th April 2017. It was shared to us by Ashish Kr Mishra. Aaghaz-e-Dosti pays respect to him and his commitment to Indo-Pak peace.
Poem: Bharat-Pakistan by…Kishor Pahuja (India)
भारत-पाकिस्तान
भारत हो या पाकिस्तान
सिंध हो या राजस्थान
सब कुछ एक सा ही लगता है
फर्क सिर्फ़ इतना है —
यहां हिंदू ज़्यादा हैं और वहां मुस्लमान
पर
हैं तो ये भी इन्सान और वो भी इन्सान
यहाँ भी दीवाली और ईद पर है जश्न
वहां भी ईद और दीवाली जश्न ही जश्न
यहाँ भी पकते है पकवान
वहां भी पकते हैं पकवान
फिर क्यों हमारे लीडरान
हमें बाँट- बाँट कर करते हैं परेशान
यदि दोनों देशों में हो जाए शान्ति
पूरी दुनिया में हो जाए क्रांति
– किशोर कुमार पाहुजा, उदयपुर (राजस्थान)
Bharat-Pakistan
Bharat ho ya Pakistan
Sindh ho ya Rajasthan
Sab kuch ek sa hi lagta hai
Fark sirf itna hai —
Yaha Hindu zyada hai aur waha Musalman
Par
Hai to ye bhi insaan aur vo bhi insaan
Yaha bhi Diwali aur Eid par hai jashan
Waha bhi Eid aur Diwali jashan hi jashan
Yaha bhi pakte hai pakwan
Waha bhi pakte hai pakwan
Phir kyu hamare leaderaan
Hume baath baath kar karte hai pareshan
Yadi dono desho mei ho jaaye shaanti
Puri duniya mei ho jaaye kraanti
– Kishor Pahuja (Udaipur, Rajasthan)
*Painting by a Pakistani student, Anita Zehra of Lyceum School (Karachi, Pakistan). Copyright of the painting belongs to Aaghaz-e-Dosti
Poem: Sarhadein Peeche Reh Jaati hai… by Ravi Nitesh (India)
Khyber ki Pahariyo ko chhu kar,
Peshawar ke Bazaro ki khushbho le kar,
Raavi ki Lehron se Uthti Khanak le kar,
Milti Himalaya ki Baraf se Chamak le kar,
Aati Punjab mei Gehu ki Faliyo se mil kar,
Ye Hawaein Pahunchti hai Kayi sandese le kar,
Kabhi Ardaas, Kabhi Azaan ki Awaazein le kar,
Hamari Tumhari Kabhi Hasi titoli le kar,
Kheton mei Hariyali ki Raunak le kar,
Suhani Yaadon ki Aahat le kar,
Ye Hawayein Har Roz Chali aati hai,
Sarhadei Peeche Reh jaati hai…
*This painting is by Maham Gulzar, a school student from Toba Tek Singh (Pakistan). Copyright of the painting is with Aaghaz-e-Dosti
Ravi Nitesh is from Delhi. He is the founder of Mission Bhartiyam and Aaghaz-e-Dosti
Poem: Jung Kyun Na Ho, Zaroor Honi Chahiye
by Ravi Nitesh (India)
Jung kyun na ho, Zaroor honi chahiye;
ba-sharte, jung ho behtaree ki.
Pehli jung ho tumhari khud tum se,
Jung ho tumhari ‘mai’ aur ‘hum’ se,
Tumhari jung ho tumhare har ek pal se,
aur tum jeetna chaho, har pal jeene ko, Zindgi banane ki jung.
Jung ho tumhari khud tumhare usoolon se,
aur tum banate raho bhalai aur tarakee ke usool,
Jung ho tumhari nafrat se,
Aur tum nikaal phenko saara zeher khud se.
Jung es baat ke liye ho,
ki na lag jaaye jung tumhare khud ke wajood ko.
Aur vo jung, jiski waqalat tum kiya karte ho,
kabhi majhab ke thekedaar aur kabi siyasatdaar bankar,
darasal vo nishani hai ki lag chuka hai jung tum par,
Jung kyun na ho, zaroor honi chahiye,
Jung utaarne ki jung,
behtaree aur bhalai ki jung,
khud tum se tumharee jung.