Blog Archives

Call for Poems: Aaghaz-e-Dosti & Kavishala presents Indo-Pak Poetry Collection Program

kavishala and aaghaz-e-dosti

There are few things that cannot be restricted by any borders, these are emotions, dreams and hopes. We, at Aaghaz-e-Dosti, have always believed in promoting these free birds for spreading peace. We join hands with Kavishala to give you an opportunity to weave them in a beautiful poetry and we will help the peace bird take a greater flight. 

As a joint initiative of Aaghaz-e-Dosti and Kavishala, we present an “Indo-Pak Peace and Friendship” Poetry Collection that will take the form of a book with 100 poets and poems written in 5 major languages of the subcontinent. Here are few guidelines:

  1. Original and Unpublished Poems
  2. Language – English, Hindi, Urdu, Punjabi or Sindhi (For punjabi and sindhi, please send a rough translation in Hindi/Urdu or English). 20 poems from each of the 4 languages will be selected.
  3. A maximum of two submissions per person
  4. Send file in word/text format and the file should have your details – name, address, contact number and a brief bio
  5. You can send it at aaghazedosti@gmail.com or upload it at website of Kavishala http://kavishala.in/poetry-for-peace
Advertisement

Poem: Suno Aee Mere Humsaye

by Osama Siddiq (Pakistan)

Anubha Rawat

 

Hamain Tum Say Muhabbat Hay 

Suno Aee Mere Humsaye 

Hamain Tum Say Muhabbat Hay 

Khuda Nay Tau Zameen Banai Thi 

Daantoon Talay Zabaanay Hum Nay Bheechi Hain 

Sub Lakeeray Yahaan Wahaan Hum Nay Kheechi Hain 

Daikho Suraj Aik Hay Apna 

Chaand Ki Chandni Dono Ko Mayaseer Hay 

Hawa Sub Kay Liye Hi Tau Zindagi Ki Alamaat Hay 

Agar Tumhain Ghum Hay Thora Sa Tau 

Yahaan Bhi Malamaat Hay 

Chalo Phir Aik Ho Jain 

Agar Sukha Paray Wahan Tau Barish Hum Say Lai Laina 

Yahaan Jo Baar Ajai Tau Tum Paani Chura Laina 

Hamaray Suroon Ko Tum Apna Saaz Dai Daina 

Koi Mushkil Jo  Aajai Tau Bus Awaaz Dai Daina 

Hamareay Sath Chalnay Walay Dosti Kay Saee 

Hamain Tum Say Muhabbat Hay 

Suno Aee Mere Humsaye 

Hamain Tum Say Muhabbat Hay!

*Painting by Anubha Rawat, an Indian student studying in Goodley Public School (Delhi)


Osama Siddiq is based in Pakistan. He works as a scriptwriter at Geo Entertainment

Poem: Hum Aik Hain, Hum Aik Hain… by Shumaila Manzoor (Pakistan)

Indopak painting by Prashant Naik for Aaghaz-e-Dosti

Aao Hum Apne Zehnon Se Pak-O-India Mita Daite Hain

Es Waqt Ki Zarurat Ko Koi Naam Naya Sa Daite Hain

Bhool Jao Na Shikwe, Us Ghuzre Huye Waqt Ke

Badha Ke Hath Dosti Ka, Sar Kuchal Ke Dushmani Ka

“Huma Aik Hain Hum, Aik Hain” Ka Parcham Lehra Daite Hain

Aao Hum Apne Zehnon Se Pak-O-India Mita Daite Hain

Boye The Jo Puranon Ne, Mafadi Siasatdanon Ne

Nafrat Ke En Bijon Ko, Dushman Ki Ummeedon Ko

Chalo Hum Tum Mil Kar Be-Samar Bana Daite Hain

Aao Hum Apne Zehnon Se Pak-O-India Mita Daite Hain

Tu Bhi Choom Mera Hajr-e Aswad, Main Bhi Poojon Tera Pathar Ka Rab

Mere Kaabe Main Tu Diye Jala, Tere Mandir Main Ho Mera Hajj

Lo Hum En Mazhabi Faslon Ko Mita Daite Hain

Aao Hum Apne Zehnon Se Pak-O-India Mita Daite Hain

Tera Pathar Ka Rab Tu Aik Taraf Main Teri Bhi Pooja Kron Ga

Bas Aik Baar Kaho Dil Se “Hum Aik Hain, Hum Aik Hain”

*This painting is by an Indian student, Prashanth Naik of Kendriya Vidyalaya School No. 1, Uppal Hyderabad (Telangana, India) and belongs to Aaghaz-e-Dosti.


Shumaila Mazoor is a BSC Student, National College of Mandi, Faizabad, Dist Nankana Sahib (Pakistan)

Poem: Hazaaron Hazaar Ummeedein, Yahan bhi Wahan bhi

 by Ravi Nitesh (India)

aaghazedosti indopak

Photo Source: Internet

Kuchh tinke, na idhar, na udhar
jab jidhar hawa chali, chal diye.
Kuchh hawayein, Banjaara,
kabhi yahan, kabhi wahan,
Jab jahan dil kiya , beh chalee.
Kuchh darakht, yun hi khade,
yahan bhi wahan bhi,
jab tak jahan dil kiya jame rahe.
Kuchh paudhe, ug gaye,
idhar bhi udhar bhi,
jab jahan jaise rahe, badhte rahe.
Kuchh makan yahan bane,
Kuchh bastiyan wahan basee,
Jo hua, bas ho gaya
yahan bhi wahan bhi.
Ek nadee idhar chali, ek nadee udhar chalee,
Paani magar ek sa,
Idhar bhi, udhar bhi.
jo raha, jaise raha,
raag ho viraag ho, dwesh ho ya pyar ho,
Bandhan ye kata bhi, judha bhi,idha bhi udhar bhi.
Ek par rishta raha,
Ek par sapna khila,
Hazaar haath badh gaye,
yahan bhi wahan bhi.
Hazaaron hazaar sapne jude,
idhar bhi, udhar bhi,
Hazaaron hazaar ummeedein,
yahan bhi wahan bhi.

%d bloggers like this: