Blog Archives
Poem: Hum Aik Hain, Hum Aik Hain… by Shumaila Manzoor (Pakistan)
Aao Hum Apne Zehnon Se Pak-O-India Mita Daite Hain
Es Waqt Ki Zarurat Ko Koi Naam Naya Sa Daite Hain
Bhool Jao Na Shikwe, Us Ghuzre Huye Waqt Ke
Badha Ke Hath Dosti Ka, Sar Kuchal Ke Dushmani Ka
“Huma Aik Hain Hum, Aik Hain” Ka Parcham Lehra Daite Hain
Aao Hum Apne Zehnon Se Pak-O-India Mita Daite Hain
Boye The Jo Puranon Ne, Mafadi Siasatdanon Ne
Nafrat Ke En Bijon Ko, Dushman Ki Ummeedon Ko
Chalo Hum Tum Mil Kar Be-Samar Bana Daite Hain
Aao Hum Apne Zehnon Se Pak-O-India Mita Daite Hain
Tu Bhi Choom Mera Hajr-e Aswad, Main Bhi Poojon Tera Pathar Ka Rab
Mere Kaabe Main Tu Diye Jala, Tere Mandir Main Ho Mera Hajj
Lo Hum En Mazhabi Faslon Ko Mita Daite Hain
Aao Hum Apne Zehnon Se Pak-O-India Mita Daite Hain
Tera Pathar Ka Rab Tu Aik Taraf Main Teri Bhi Pooja Kron Ga
Bas Aik Baar Kaho Dil Se “Hum Aik Hain, Hum Aik Hain”
*This painting is by an Indian student, Prashanth Naik of Kendriya Vidyalaya School No. 1, Uppal Hyderabad (Telangana, India) and belongs to Aaghaz-e-Dosti.
Shumaila Mazoor is a BSC Student, National College of Mandi, Faizabad, Dist Nankana Sahib (Pakistan)