Blog Archives
Poem: Suno Aee Mere Humsaye
by Osama Siddiq (Pakistan)
Hamain Tum Say Muhabbat Hay
Suno Aee Mere Humsaye
Hamain Tum Say Muhabbat Hay
Khuda Nay Tau Zameen Banai Thi
Daantoon Talay Zabaanay Hum Nay Bheechi Hain
Sub Lakeeray Yahaan Wahaan Hum Nay Kheechi Hain
Daikho Suraj Aik Hay Apna
Chaand Ki Chandni Dono Ko Mayaseer Hay
Hawa Sub Kay Liye Hi Tau Zindagi Ki Alamaat Hay
Agar Tumhain Ghum Hay Thora Sa Tau
Yahaan Bhi Malamaat Hay
Chalo Phir Aik Ho Jain
Agar Sukha Paray Wahan Tau Barish Hum Say Lai Laina
Yahaan Jo Baar Ajai Tau Tum Paani Chura Laina
Hamaray Suroon Ko Tum Apna Saaz Dai Daina
Koi Mushkil Jo Aajai Tau Bus Awaaz Dai Daina
Hamareay Sath Chalnay Walay Dosti Kay Saee
Hamain Tum Say Muhabbat Hay
Suno Aee Mere Humsaye
Hamain Tum Say Muhabbat Hay!
*Painting by Anubha Rawat, an Indian student studying in Goodley Public School (Delhi)
Osama Siddiq is based in Pakistan. He works as a scriptwriter at Geo Entertainment
Poem: Insaniyat! Toun Hae Kahan?…by Asad Saleem (Pakistan)
Wo daish hi kya jis daish mei insaniyat na basti ho, panapti ho,
Aiy insaan tu kitna gir gaya, Tere apne haen yeh sarey jag waly
Tera quran kahta hae mera bhagwan kahta hae.
Behn bhai hai ye saare jag wale.
Aiy insaan matti daalo watan ko. Insaniyat ko watan banao.
Us paida karne walay ki kurbat pao.
Choro ye rango nasal mazhab wa duniya ke jhouol jhaal
Hum sab insaan hai, hum sab insaan hain
Chalo pyaar ko badhao aye logo,
Watan, nasal, zabaan, zaat ke naam pe kisi ka khoon
kijiye na badhao kisi shaks ke darmiyaan nafrat na phelao
Aye insaan tu kyu khudgarz ho gaya
Apne behan bahion ko hi sare bazaar ruswa karta hai
Kabhi rang ki khatir kabhi mazhab kabhi kuch aur bahane se,
Sudhar ja aye insaan, jab tak hai jaan sudhar ja…
*Painting by an Indian student, Arbaz Khan of New Horizon School (Delhi, India). Copyright of the painting belongs to Aaghaz-e-Dosti