Poem: Aik Khawb…by Usman Zia (Pakistan)
Goliyon ka shor tha dono taraf,
Raat, ghehri raat thi
Kuch jawan logon ke marne ki
Khabar bhi aai thi, Kya hua tha?
Kuch purane balghami zehno’n ka
Khumyaza bhuagtne wale logon ke
Gharon ki aorten thi,
Baal kholy ro rahi thi,
Dono janib surkh topi wale fauji,
Apne apne marne walon ko
Shahadat ki salami de rahe the,
Dono janib mao’n ke seenon men
Jalti aag ki lipto’n ko kis ne dekhna tha?
Do samay ki rotian ghar bhejne ke waaste,
sarhadon per jaa’n hatheli par dhare kamsin sipahi,
Balghami zehnon kay khaabo’n ke jahannum men bhala kab tak jalen ge?
Kab bhala is khoon ki naddi ko roka jaey ga,
Kab talak hum raat ki chaadar mein
Lipte aik dooje keliay nafrat ki boli bolte,
Dil ke darwazon pe taale dale rakhenge?
Khatam kab hoga ye nafrat ka safar?
Kb bhala main jasakun ga apni Delhi ik pyari dost ke ghar,
Chaey par ……
*Painting by an Indian Student, Sayani Hazra (Gujarat Public School, Vadodara, India). Copyright of the painting belongs to Aaghaz-e-Dosti
Usman Zia is a young poet based in Lahore. He is working as a lecturer of Special Education in University of Management and Technology, Lahore. He also served as joint secretary of Halqa-e-Arbab-e-Zaoq, Lahore which is one of the oldest literary organisations in the sub-continent.
Posted on December 12, 2016, in Poems and tagged indo-pak poems, indopak peace poem, Usman Zia. Bookmark the permalink. Leave a comment.
Leave a comment
Comments 0