Poem: Hum Aik Hain, Hum Aik Hain… by Shumaila Manzoor (Pakistan)

Indopak painting by Prashant Naik for Aaghaz-e-Dosti

Aao Hum Apne Zehnon Se Pak-O-India Mita Daite Hain

Es Waqt Ki Zarurat Ko Koi Naam Naya Sa Daite Hain

Bhool Jao Na Shikwe, Us Ghuzre Huye Waqt Ke

Badha Ke Hath Dosti Ka, Sar Kuchal Ke Dushmani Ka

“Huma Aik Hain Hum, Aik Hain” Ka Parcham Lehra Daite Hain

Aao Hum Apne Zehnon Se Pak-O-India Mita Daite Hain

Boye The Jo Puranon Ne, Mafadi Siasatdanon Ne

Nafrat Ke En Bijon Ko, Dushman Ki Ummeedon Ko

Chalo Hum Tum Mil Kar Be-Samar Bana Daite Hain

Aao Hum Apne Zehnon Se Pak-O-India Mita Daite Hain

Tu Bhi Choom Mera Hajr-e Aswad, Main Bhi Poojon Tera Pathar Ka Rab

Mere Kaabe Main Tu Diye Jala, Tere Mandir Main Ho Mera Hajj

Lo Hum En Mazhabi Faslon Ko Mita Daite Hain

Aao Hum Apne Zehnon Se Pak-O-India Mita Daite Hain

Tera Pathar Ka Rab Tu Aik Taraf Main Teri Bhi Pooja Kron Ga

Bas Aik Baar Kaho Dil Se “Hum Aik Hain, Hum Aik Hain”

*This painting is by an Indian student, Prashanth Naik of Kendriya Vidyalaya School No. 1, Uppal Hyderabad (Telangana, India) and belongs to Aaghaz-e-Dosti.


Shumaila Mazoor is a BSC Student, National College of Mandi, Faizabad, Dist Nankana Sahib (Pakistan)

Advertisement

About aaghazedosti

Aaghaz-e-Dosti is an Indo-Pak Friendship Initiative

Posted on October 24, 2016, in Poems and tagged , , , , , , . Bookmark the permalink. 1 Comment.

  1. Bahut acha ! Sukriya ! Kuch kucg mehsus hone laga ki hum sabhi inssan hain !

    Isey Hum Sabhi ko samajh hi hosa

    Jatti aur majhabi beriyon ko tor kar, Insaniyat aur Azadi ke liye agay barhna hi hoga

    Like

Any thoughts?

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this: