Poem: Koi Jang Meri Na Khushiyan Ujaade by Ravi Nitesh (India)
Kahani nahi hai ye teri meri
Ye hai ek daastan dard bhari si,
Sarhad pe rehne walon se puchho,
Unke liye kya hain jeene ke maayne,
Vo kehte hain es saal fasal khoon ugi hai ,
Vo kehte hain baarish bhi badhiya hai aayi,
Dua bas hai honi itni kubool ab,
Mere khet me koi tank bomb na aaye,
Bagal ke jile me hai phulon ki kheti,
khushboo uski udkar mere khet aaye,
Dua bas hai honi, itni kubool ab,
Koi phool abki raunda na jaaye,
Na aaye yahan baarudon ki khushboo,
Sunayi na de mujhko cheekhein pukarein,
Maalik mere bas itna hi de,
Koi jang meri na khushiya ujaade….
*Painting by a Pakistani student, Mohammad Hamza. This painting is copyright of Aaghaz-e-Dosti.
Posted on October 12, 2016, in Poems and tagged Anti-War poem, indo-pak peace poems, indo-pak poem, indo-pak poetry, indopak poems, Peace Poem. Bookmark the permalink. Leave a comment.
Leave a comment
Comments 0