Poem: Kaash Main Ik Parinda Hoti… by Fatima Shah (Pakistan)
Kaash Main Ik Parinda Hoti
Pakistan bhi ghoomti India ki Sair bhi Karti
Masjid bhi ho aati, Mandir ka darshan bhi karti
Hunza aur Swat ki Vaadiyo mei Udti
Shimla aur Himalaya ka Tawaaf bhi kar aati
Kuch Yaadei Is Jagah, Kuch Lamhe Waha ke
Qaid Karti
Na Fauj, Na Sarhad ki Rok Tok
Kabhi India, Kabhi Pakistan Ho Aati..
Kaash Main Ik Parinda Hoti…
– Fatima Shah, Hunza (Pakistan)
*Painting by an Indian student. This painting is copyright of Aaghaz-e-Dosti
Posted on August 4, 2016, in Poems and tagged indo-pak poem. Bookmark the permalink. Leave a comment.
Leave a comment
Comments 0