Poem: khayalo ke safar-e-sarhad par.. by Varun Tyagi (India)
In khayalo ke safar-e-sarhad par jab hum musafir hue,
toh sare raah, ek patthar ke se, darakht-e-Bargadh se Mukhatib hue…
Kuchh baichan, hairan, kuch sawaalo se parehsan, hum ruke aur poocha…
ki is tapti dhoop mei, jo akad kar khade rehte ho, kya jalte nahi tum,
kya bilkul bhi jalte nahi tum…
Is aasmaan se tapakte in boondo ke khanjaro se, kya galte nahi tum,
kya bilkul bhi galte nahi tum…
Us chenaab, Sindhu ko choomkar aati thandi hawao mei, kya jhadte nahi tum,
kya bilkul bhi jhadte nahi tum…
Ye betarteeb, be maksad, betahasha daudti hui mukhtasir si Zindagi mei,
ek hi jagah barso khade rehkar, kya thakte nahi tum.
kya bilkul bhi thakte nahi tum…
Is khudgarzi ki abo hawa mei, bekhudi ka butt bankar, kya khapte nahi tum,
kya bilkul bhi khapte nahi tum…
Silsila mere sawalaat ka thama,
jab us darakht ne apna haal-e-dil bayan kiya…
ki jab taqseem ki jad mei ayi thi sadak-e-shershahi,
kuch ghar yaha jale thei, kuch ghar vahan jale thei,
us aag mei haan Tape thei hum, kuch zyaada hi tape thei hum…
kuch aankho se behte kajal ki Fuharo ne jab bhigoya tha hume,
us nami mei gale thei hum, kuch zyada hi gale thei hum…
Zor kisi hawa mei toh na tha, per jab Sindhu aur Chenab ko ajnabee hota dekha,
us shushk thandi insaniyat k sath, jhade thei hum,
kuch zyada hi jhade thei hum…
Is bemaksad see zindagi mei jab zindagi ko dum todte dekha tha,
tab insaniyat se thake thei hum, kuch zyada hi thake thei hum…
Aur zikr khudgarzi ka kya karein Raahgeer,
humne apno ko apno ki lassho ko dafnate/aag lagate dekha tha,
us roz sach mei khapp hi gaye thei, kuch zyaad hi khape thei hum..
Jo manzil ko tu pahunche musaafir toh bas yaad rakhna ki
is sarzameen ne jo behsarmi aur behayai ka manzar dekha tha,
us manzar ko dilo mei Dafan kare jal rahe hai hum,
kuch zyada hi jal rahe hai hum….
*Painting by a Pakistan student. This painting is copyright of Aaghaz-e-Dosti.
Posted on January 24, 2016, in Poems and tagged indo-pak border, indo-pak peace poems, indo-pak poem, indo-pak poetry. Bookmark the permalink. Leave a comment.
Leave a comment
Comments 0