Poem: Ye Sarhad Mujhe Aane Nahi Deti by Zebaish Shaikh (India)
Mera mann toh bahot hota hai,
mai aau, ghumo uspaar ko.
Par, kambhakt yeh sarhade
mujhe aane hi nahi deti hai!
Koshish bhi bahot si karti hu
Kaise taise mai aajau…
Par, kambhakt yeh sarhade
mujhe aane hi nahi deti hai!
Kuch hal mile toh batlana,
Yeh masla mujhe tangg karta hai.
Bezaar hokar chup ho jati hu,
par koshish meri jaari hai.
Kuch hal mile toh batlana,
Yeh masla mujhe tangg karta hai
Kuch hal mile toh batlana,
Mujhe shiddat se waha aana hai.
Chudi, Chunri, Chowk, Chaubaare,
Dargah, masjid jaana hai.
Chappa Chappa tumare sang
tum haath pakad yu dikhlaaana
ke yaad ho jaaye har rasta,
har raste tum mujhe le jaana.
Mera mann toh bahot hota hai,
mai aau, ghumo us paar ko.
Par, kambhakt yeh sarhade
mujhe aane hi nahi deti hai!
*Painting by a Pakistani student. Copyright of the painting is with Aaghaz-e-Dosti
“tum ao tau sarhad kay iss paar,
hath pakar dekhlaoon ga
har rastaa, har manzar,
iss paar ghumaoon ga”
LikeLike