Poem: Saanjhi Viraasat
by Saeed Ahmed (Pakistan)
Yad Rakhna….
Baba Ji Guru Nanak Baba Farid aur Ghulam Farid Waris Shah Se Ghalib Tak..
Humary tumharay sanjhay hain
Tagore tumhara bhi hey Humara bhi hey
Bedi ho ya Krishan Chander
Manto ho ya Ismat
Amrita ho ya Sahir
Humaray tumharay sanjhay hain
Shakir ali aor gujral
Maqbool Fida Hussain aor Sadquain
Ravi Shanker ho ya Anil Biswas
Lata Mangeshkar
humari bhi Tumhari bhi hey
Dilip ho ya madhubala
Nargis aur meena kumari
Tumhari bhi hey Humari bhi hey
Tehzeeb bhi aik hey Tareekh bhi aik hey
Culture aur zubaan bhi aik hey
Lubas aur addaat bhi aik hain
Dono iss dharti ore virsay kay maalik hain
Yad hey tumhain
Tez Aandhi chali aur Aag lagi thee
Mailay mein hum kho gaye thay
Aaj milay hain toh Kaisi khushi aur chamaak hey
Humari mohabat ghaer mashroot hey
Aaghaz-e-dosti hey
Ab is ka anjam Aaghaz-e-dosti ho ga
Humhri Tumhari dosti Kay beech mat Aana
Koi hukmran ho ya samraj Suun lo
Bhagat Singh Humara bhi Tumhara bhi hey…
*Painting by an Indian school student. Copyright of the painting belongs to Aaghaz-e-Dosti.
I think you guys are doing a great job. Needs a little escalation on publicity part. Not because I want you to be famous but this noble cause must be recognized.
LikeLike