Poem: Chal chhod bhi de, ab maan bhi ja
by Zebaish SK (India)
Masle na banao, aie makhlook..
Tukde na banao aie makhlook…
Dil reza reza hota hai..
Kamre me akela rota hai.
Kyu lakeeron se batware karte ho,
Tera – mera kyon ladte ho,
Maqsad bhi ik aur muqam bhi,
Fir bhi naadani karte ho.
Na daalo bair bugaz dil me,
Rakh khauf khuda ka thoda toh,
Dena hai hisaab har ik ka,
Fir kaun bachaega tujko?
Chal chhod bhi de, abb maan bhi jaa…
Chal haath bada Aaghaze Dosti ka..
Chal uth ja aur ab isko mita…
jhagda na kar abb haath badha.
Posted on August 6, 2014, in Poems. Bookmark the permalink. Leave a comment.
Leave a comment
Comments 0