Poem: Sawal aur Umeed
by Shakeel Ahmed Shah (Pakistan)
Jab kabhi dekhta hon mazi ko,
Kuch sawal darj zail atey hain:
Sochta hon ki bhala aur kab tak?
Berukhi ki adaa rahe kab tak?
Talkhiyon ki hawa rahe kab tak?
Kab talak muntazir rahen phir hum?
Kab talak khamoshi mein reh len hum?
Waqt bhi intazar kare ga kya?
Apni raftaar to tod dega kya?
Baqi duniya kahan gayi, dekha?
Chaand to chaand sayaron pe gayi hai, dekha?
Suno, aur kab talak laden ge hum?
Aise nadaan hi rahen ge hum?????
Phir ye ehsas umad ata hai:
Kash kuch mojza hi ho jaye,
Hal ka hal badal ho jaye….
Phir ye umeed nikal aati hai:
Kawishen apni rang layen gi,
Dosti; pyar; aman layen gi
Posted on July 31, 2014, in Poems. Bookmark the permalink. Leave a comment.
Leave a comment
Comments 0