A poem of hope on the independence day

Photo Source: Internet
Haath jodein, qadam milayen, gale lagaye apno ko,
jo sarhadon mei bikhar gaye, phir bune un sapno ko…
Aman hai teri sipar, ishq hai tera raasta,
kaise mite yeh adaawat, kis ka dein waasta..
Ye kaisa khauff taari hai, ye kaisi sharmsaari hai,
mazi ek tha, ab ek dusre ko tasleem karna bhari hai…
Lakeerein zameen pe hai, dilon ke darmiyan nahin,
gar badalo se dekho, to sarhadei darmiyaan nahin…
Utho ke mustaqbil, ab hum hi badal sakte hain,
dagmagate hue qadam, ab bhi sambhal sakte hain…
Kitne mare, kitne maare, kitno ke bikhre aashiyaan,
ab aaghaaz ek naya ho, ki bair na rahe ab darmiyaan…
Khaaki, fiza mei bas mulk-o-mazhab ke naare rehte hain,
koi naala nahi jahaan insaan ko insaan kehte hain…
– “Khaaki” (India)
Posted on August 14, 2013, in Poems and tagged indo-pak poem, poem on partition. Bookmark the permalink. Leave a comment.
Leave a comment
Comments 0